1) Na soz hai na saaz hai,
Mere dil ki yeh aawaz hai...
Yun toh dost hi hai sab yaha,
Par teri dosti ka ik ajab andaaz hai...
Ghire hue hai dosto ki anjuman mein hum magar,
Ik tu hi hai jo mera humraaz hai....
Na soz hai na saaz hai,
Mere dil ki yeh aawaz hai^....
2)
Bulandi ka koi fasaana nahi hota,
Har tohfa bas nazraana nahi hota. ..
Ibtadai urooj mein woh apno se door hua,
Warna ta'allooq kaisa bhi ho kabhi puraana nahi hota^....
3)
Ek ek tinka jodkar maine jo deewar banayi thi,
Uss zaalim ne mere saamne hi ussey tod diya.....
Jab paison ka zawaal utra tab meri baari aayi,
Par maine bhi ussey apna hi samajhke chhod diya^....
4)
Ek junoon dil mein liye hue duniya ki taraf chaldiye,
Hum apni akhirat ki barbaadi ka saamaan leke chaldiye^....
5)
Insan ne bhagwan ko banaya, phir banaya aur phir tamasha banaya^....
6)Jin bachchon k haath mein Maine kabhi khilona nahi dekha,
Woh bachche aaj kahi khilona bech rahe hai^....
7)
Tu ahad o wafa ki baat na kar ae dost,
Maine logo ko chand rupyon k ewaz bikte dekha hai^....
8)
Meri zindagi mein ek aisa ittefaq hua,
Chand lamho k liye hi sahi tera mera saath hua^....
Tuney laakh samjhaaya mujhe par maine teri ek na suni,
Isliye tu waha aabaad hua aur main yaha barbaad hua^....
9)
Jab se Siyaasatdaan logo ne apne rang dikhaaye hai,
Tab se girgit bhi sir jhuka kar chalta hai^....